Discover millions of ebooks, audiobooks, and so much more with a free trial

Only $11.99/month after trial. Cancel anytime.

Sifar: Monologue
Sifar: Monologue
Sifar: Monologue
Ebook155 pages1 hour

Sifar: Monologue

Rating: 0 out of 5 stars

()

Read preview

About this ebook

Yeh amanat hai meri sab batein tum jitna itrawogi, qabool hai. Par haan qayamat mein mujhe sunawogi. Yeh hissa jab bhi tum padhogi, samajh lena akeli raat mein bahut kam Roshni mein, tumhare liye likha hai mein. Tum khush hojawogi. 


This book “SIFAR” is divided into two parts, the former is “the book of imagination”. Which is that very world that exists only in words, where you feel very relaxed and you can change this world through within your mind. The later book is “The Book of Intelligence” which deals with the changes in the current world and the life one is living.  This book is the most beautiful feeling. It took me almost 4 years to write these beautiful thoughts, it's not easy to enter that world that exists only in your mind and to live with.

LanguageEnglish
Release dateFeb 27, 2024
Sifar: Monologue

Related to Sifar

Related ebooks

Poetry For You

View More

Related articles

Related categories

Reviews for Sifar

Rating: 0 out of 5 stars
0 ratings

0 ratings0 reviews

What did you think?

Tap to rate

Review must be at least 10 words

    Book preview

    Sifar - Suhail Malik

    1

    MUJHE KHAUFF AATA HAI

    Mujhe guroor hai, guroor toh mehez ek chota sa lafz hai, meri mohabbat ke liye, haan uss mohabbat ke liye jo bahot maayne rakhti hai. Mohabbat insaan ko bahot kamzor banati hai.

    Kamzor lafz se mujhe bahot chid hai aur haan ab mujhe khauff aata hai tumhein khone ka, darr lagta hai door jaane ka, yeh sare lafz, yeh khauff, darr mujhe bilkul sahi nahi lagte.

    Tum mujhe sang e mar mar samajhte ho, haan banjata hoon mein tumhare samne aisa mujhe zaroorat si lagti hai, warna meri mohabbat in lafzon se bahot kamzoor padegi aur mein haarna bilkul bhi nahi chahta.

    Mujhe pata hai ki tum mujh se yeh kabhi bhi nahi poocho gey ki kitni mohabbat karte hai hum tumse. bas aisa samjhe ki har ishq karne wala hamare ander basta hai. Haan kuch ne apna naam majhnu, O Ranjha, farhad rakhe hai. Humein toh yeh bhi yaad nahi ki in mein se hum kon hai.

    Par hum bholein gey bhi nahi ki tum hamesha hamara saaya banke hamare saath saath hote ho. Hum jo bhi saans lete hai usmein tumhara nasha hota hai. Hamari har dhadkan mein tumhara ehsaas hota hai. Hum yeh sab tumhein nahi batayenge aur humein pata hai tum yeh sab jaante ho. Isiliye toh hum apni mohabbat pe itrate hai aur hona bhi chahiye humein tum jo mil gaye ho.

    Par yeh sab hum tumko nahi batayenge.

    Aur hum intizaar karenge ki hamari mohabbat bhi hum pe guroor karein aur be shumaar karein.

    Tum jaante ho.

    2

    EK LAFZ

    Bahot saari batein karni hai humein aapse: par vahi soch rahe hai hum ki kahaan se shuru kare.

    Hum khawaab mein bahut kuch keh dete hai aur haan tum saamne aate ho toh na jaane koi alfaaz, koi lafz kyun nahi aate. Jaane yeh aapki masoomiyat hai ya khoobsurati, jo humein ghaayal kar deti hai, waise aaj tumhari tareef hi hogi, kuch kahe bina hi tum bahut umdaah ho: haan bahut alag ho. khud se bhi alag tumhein pata hai tum itni khubsurat kyun ho.

    Kyun ki tum meri ho.

    Haan sirf meri….

    Mein tumhein awaaz deta hoon sirf isiliye taki mein tumhara jawaab sunu.

    Jab tum mujhe kehti ho ki bas aayi aisa lagta hai ki bahar aayi. Bas koi bahana dhoondta rehta hoon tumhari awaaz sunne ke liye . Bahut pyar aata hai tum pe jab tum bahut gusse mein hoti ho aur mujhe dikhati ho tumhein koi pareshani nahi. Kya mein tumhari dhadkan nahi samjhta, kya mein tumhari saans mehsoos nahi karta.

    Pagal ho tum

    Aisi kyun ho tum ya mere liye banti ho, banna chahti ho aisi sirf mere liye, mere sare rishtoon ko tum apna kehti ho aur sahi se nibhati ho.

    Mujhe tum pe bahut pyar aata hai.

    Tum bahut khubsurat ho serat se,

    Tum bahut paagal ho, mere liye.

    Yeh ek lafz jab tum padhogi toh khud pe bahut itraogi. zahir bhi hai aur woh ek nigaah jo tumhari mujh pe padegi kasam se mein marr jaonga.

    Aur mein intzaar kar raha hoon, us waqt ka.

    Tumhare liye ek lafz doond raha hoon

    -----nahi mila-----.

    3

    HUM AISE KYUN HAI

    Aaj se kayi saal pehle maine tumhari awaaz suni thi, haan sahi suna tumne. Bahot saalon pehle jab mera wajood banaya gaya tha aur us asmaan pe meri ankh khuli sab se pehle meine tumhein dekha- tum door se bahot dhundli si nazar aa rahi thi par maine tumhari awaaz suni.

    Kehte hai jisne ya jis kisi ki bhi awaaz suni yane kisi ka naam suna asmaan mein woh iss duniya mein unse zaroor milte hai- kuch samajh aaya-

    Kya tumne kabhi gaur nahi kiya ki hum dono aise kyun hai. Kyun hum ek dosre ke liye beqaraar se hai

    Kyun hum dono ki dhadkan ek saath dhadakti hai, kyun hamari saans bhi ek doosre ki hai. Kyun hamari jaan ek dosre mein basti hai, kyun hum aise hai.

    -kya tumne kabhi gaur kiya-

    Kyun ek pal ke liye bhi hum ek doosre se alag nahi ho paate.

    Kyun hum ek pal ki bhi doori nahi seh paate.

    Kyun hum ek doosre ka saath nahi chod paate.

    -kabhi tumne gaur kiya hai-

    Hamara wajood hi ek doosre ke liye banaya gaya hai, mein tumhare liye aur tum mere liye aur yeh jahaan hamare liye banaya gaya hai.

    Milna mehez ek mulakaat ka bahana tha humein milna tha, aur mulakaat ho gayi.

    Sochna bhi mat

    Kya hum aise hi hai

    Yeh kehna bhi mat

    Hum aise kyun hai

    4

    EK MULAKAAT

    Yeh duwaan sa shab, poore chand ki chandi mein, tum aaye ek mulakaat pe: yeh ek mulakaat pe.

    Ek ajeeb si raat thi woh, mujhe yaad hai, chand apne shabaab pe tha, mera mann ajeeb sa tha, mujhe samajh mein nahi aaya ki yeh meri halat Khushi ki hai ya gham ki , tumne awaaz di.

    Mein shayed khawaab dekh raha hoon maine khud se kaha. Phir tumhari awaaz aayi mere naam ki- mein hakka bakka reh gaya. Thoda jo hosh sambhala aur tumko khud ke saamne paaya, ab khudara mein kaise sambhalta, tum hi batao.

    Tumhara chehra uss chaand jaisa chamak raha tha. Woh noor, lajawaab tha. Woh mudhoshi se, jhuki howi ankhein, koi aamad thi kya aur gulaab ke se hoonth. Kap kapaate hua l- kya keh rahe the- mein nahi samjh

    Enjoying the preview?
    Page 1 of 1